Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera

Billi to yunhi muft main badnaam huyi
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera

Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna
Jis tarah police karti hai chalaan wagera

Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai
Ab apni hatheli pe hain dandaan wagera

Har shirt ki bushratt bana dali hai anwar
Yun chaak kiya hum ne garebaan wagera

0.00 avg. rating (0% score) - 0 votes